wo kam-yaqin jo sawad-e-guman bhi rahta hai

wo kam-yaqin jo sawad-e-guman bhi rahta hai
tamam-umr kisi imtihan mein rahta hai

ye ruh-o-jism ka rishta bhi khub rishta hai
ki jaise koi parae makan mein rahta hai

jo tu nahin mere hamrah teri yaad sahi
koi to sath mere dasht-e-jaan mein rahta hai

khula ye chandni shab mein ki ek saya sa
nadi ke par shikasta-makan mein rahta hai

na us mein rang-e-wafa ka na ishq ki khushbu
khabar nahin wo abhi kis jahan mein rahta hai

rahe zaban pe koi dastan-e-hijr-o-visal
wo ek shakhs hi lafz-o-bayan mein rahta hai

mere dukhon ki jise kuchh khabar nahin 'khawar'
mere makan ke barabar makan mein rahta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close