ranj se waqif khushi se aashna hone na de zindagi ko apne maqsad se juda hone na de ishq jab tak tai na kar le manzilen isar ki dard ki lazzat se dil ko aashna hone na de aur jo kuchh ho hamein manzur hai yarab magar aadmi ko aadmi ka aasra hone na de dard-e-dil kahiye jise us ki to ye pahchan hai bhul kar jo hath sine se juda hone na de ishq jis dil mein jaden apni jama le ek bar umr-bhar nakhl-e-tamanna ko hara hone na de nakhuda ki koshishen be-kar tadbiren abas par jab manjdhaar se beda khuda hone na de rah-e-hasti mein jo 'jafar' har qadam par mod hain har kas-o-na-kas ko apna rahnuma hone na de