badan qubul hai uryaniyat ka mara hua magar libas na pahnenge hum utara hua wo jis ke surkh ujale mein hum munawwar the wo din bhi shab ke taaqub mein tha guzara hua panah-e-gah-e-shajar fath kar ke soya hai masafaton ki thakan se ye jism haara hua mujhe zamin ki parton mein rakh diya kis ne main ek naqsh tha aflak pe ubhaara hua kharidne ke liye us ko bik gaya khud hi main wo hun jis ko munafe mein bhi khasara hua sama gaya mere pairon ke aablon mein 'salim' chalo ki aaj se ye khar bhi hamara hua