raqs-e-hasti ke phisal jaane ka andesha hai bagh hathon se nikal jaane ka andesha hai ab to wo sur bhi lagta hai hamara mutrib rag jis sur pe badal jaane ka andesha hai raat ko khauf mera chand koi chhin na le chand ko raat ke dhal jaane ka andesha hai bund bhar tel bacha hai to diya gul kar do warna basti ke bhi jal jaane ka andesha hai us ka apna koi aa jaega le jaega aaj ruk jae to kal jaane ka andesha hai is zamin par bhi laga lenge koi ped ustad hath se ye bhi ghazal jaane ka andesha hai