shauq ka taqaza hai sharh-e-arzu kije dil se ahd-e-khamoshi kaise guftugu kije dil ho ya gareban ho roz chaak hote hain kya junun ke mausam mein koshish-e-rafu kije aashiqi-o-khuddari bandagi-o-khud-bini aarzu ki rahon mein khun-e-arzu kije dad sai-e-paiham ki kuchh to dijiye yani taza-tar shikaston se dil ko surkh-ru kije pa-e-shauq mein kab tak raston ki zanjiren surat-e-saba chaliye sair chaar-su kije hai khulus ka maslak dushman-e-asar aakhir jo na ho muqaddar mein us ki justuju kije bazm-e-jam-o-mina mein dad-e-tishnagi dije mausam-e-bahaaran mein hasrat-e-numu kije kya ajab ki bar aae dil ki aarzu 'taban' sair ku-e-qatil ki aap bhi kabhu kije