raqs-e-ilham kar raha hun main jism-e-kalam kar raha hun meri hai jo khas apni mitti us khas ko aam kar raha hun ek mushkil sakht aa padi hai ek subh ko sham kar raha hun duniya se kaho zara sa thahre is waqt aaram kar raha hun chup chap pada hua hun ghar mein aur shahr mein nam kar raha hun mitti ko palat raha hun apni pukhta ko kham kar raha hun kya kaam hai jaanna hai mujh ko ek sirf ye kaam kar raha hun be-rabti-e-jism-o-jaan fuzun-tar tauhin-e-nizam kar raha hun khushbu-e-khuda laga ke khud par mazhab ko haram kar raha hun iman ne kuchh suni na meri so kufr pe kaam kar raha hun allah-miyan ke mashware se tark-e-islam kar raha hun ai zindabaad farhat-ehsas main tujh ko salam kar raha hun