ulfat mein ayan soz-e-butan ho nahin sakta ye aag hai aisi ki dhuan ho nahin sakta kya para-e-dil koi zaban ho nahin sakta kya ud ke lahu rang-e-fughan ho nahin sakta o jalwa-gah-e-tur ke khul-khelne wale kya dil koi khalwat ka makan ho nahin sakta mujh ko hai lab-e-jam-e-shikasta bhi mah-e-id saqi ye hilal-e-ramazan ho nahin sakta joban se hai maski hui mahram ka ishaara ye din wo hain koi nigaran ho nahin sakta jaane mein wahan aandhi hai ai aah-e-rasa tu kya ashk-e-rawan sail-e-rawan ho nahin sakta din aur jagah aur ho ai dawar-e-mahshar insaf hasinon ka yahan ho nahin sakta diwana-e-laila ko na laila se raha kaam kuchh aur bala hai khafaqan ho nahin sakta jo dam uthen husn-e-jawani ke wo kam hain sauda ye kisi tarah garan ho nahin sakta but-khane bana karte hain kis tarah masajid jab naghma-e-naqus azan ho nahin sakta diwanon ka andaz udate hain anadil diwane mein ye rang-e-fughan ho nahin sakta ye jaan ko meri hai azab aath-pahr ka dil sa bhi koi aafat-e-jaan ho nahin sakta hain piri-o-tifli-o-jawani ke maze aur duniya sa koi aur jahan ho nahin sakta badle hue hain charkh ke sab chand-sitare wo wasl ki raaten wo saman ho nahin sakta banne ko 'riyaz' aap banen kohkan-o-qais hain sakhta baaten khafaqan ho nahin sakta