raqs karte hain meri aankh mein manzar kya kya

raqs karte hain meri aankh mein manzar kya kya
dekhta rahta hun main khwab ke bahar kya kya

waqt zalim ne bhula din hamein kaisi baaten
hae mazi ke khazine mein the gauhar kya kya

ek tere nam ka aana tha zaban par aur bas
hum pe barse hain har ek samt se patthar kya kya

ghar se bahar ko nikalna bhi to ghar aana bhi
din guzarte hain mere ranj utha kar kya kya

ab jo aa pahunche hain tujh tak to nahin kahte hum
rah mein khai hai ushshaq ne thokar kya kya

ek arsa hua dekha hi nahin us jaanib
jaane tabdil hua hai mere bhitar kya kya




jaane kya kaifiyyat-e-dil hai hamari imroz
nam rakkhe hain junun kaif badal kar kya kya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close