ye izn-e-jast faqat ek bahana hota hai kahan thaharte hain wo jin ko jaana hota hai hamare sar pe mohabbat ka itna bojh na dal hamein maash ka dukh bhi uthana hota hai jahan pe sokhta jazbaat rakhe jate hain har ek dil mein kahin sard-khana hota hai hamare tazkire sadiyon labon pe rahte hain hamare din nahin hote zamana hota hai tu mo'tariz na ho itna malal-e-besh-baha kabhi kabhi to hamein muskurana hota hai uda le jati hai mujh ko wahan samay ki hawa jahan kahin bhi mera aab-o-dana hota hai kisi ko lati hai rahon mein kachche ghar ki khalish koi safar pe khushi se rawana hota hai khule-kiwad alamat hain aas ki lekin hawa ke rukh pe diya bhi jalana hota hai hamare haal pe jaisi guzar rahi ho 'hasan' hamein rawayya bhi waisa banana hota hai