raqs karti hui lau sar pe utha lai hai sar qalam karke charaghon ke hawa lai hai tedhi-medhi si lakiron ko saja lai hai ye hatheli bhi mere waste kya lai hai meri auqat hi kya thi ki saraha jata mujh ko masnad pe buzurgon ki dua lai hai main jo sardar na hota to main mara jata meri dastar mere sar ko bacha lai hai main kisi aur ki sunta hi kahan tha mere ishq mujh ko is dasht mein teri hi sada lai hai ab khuda jaanta hai kis ka muqaddar ye bane teri dahliz talak mujh ko qaza lai hai pahle wo husn ko lafzon mein bayan karti rahi baad-azan apni hi taswir utha lai hai khema-e-khak mein baitha hun main gum-sum 'ahmad' justuju chaaron taraf mujh ko ghuma lai hai