rudad mujhse dil ki sunai nahin gai

rudad mujh se dil ki sunai nahin gai
is waste ragon se duhai nahin gai

ek khwab to utha liya main ne chura ke aankh
tabir us ki mujh se uthai nahin gai

go hijr pure shahr ki chaukhat se uth gaya
lekin meri gali se judai nahin gai

patthar bana hua tha main apne wajud mein
dariya se meri lash uthai nahin gai

pushte main bandhta raha apne wajud par
lekin mere badan ki katai nahin gai

itna hi farq hai mere aur qais mein huzur
bas mujh se apni khak udai nahin gai

chehre pe garche tu ne taghaful saja liya
aankhon se dil ki baat chhupai nahin gai

us bewafa se tark-e-talluq to kar liya
taswir us ki mujh se jalai nahin gai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close