raqs kiya kabhi shor machaya pahli pahli barish mein main tha mera pagal-pan tha pahli pahli barish mein paiham dastak par bundon ki aakhir us ne dhyan diya khul gaya dhire dhire daricha pahli pahli barish mein ek akela main hi ghar mein khauf-zada sa baitha tha warna shahr to bhig raha tha pahli pahli barish mein aane wale sabz dinon ki sab shadabi, us se hai aankhon ne jo manzar dekha pahli pahli barish mein sham pade so jaane wala! dip bujha kar yaadon ke raat gae tak jag raha tha pahli pahli barish mein jaane kya kya khwab bune the, pahle sawan mein, main ne jaane is par kya kya likkha pahli pahli barish mein