dhund jugnu koi zulmat ko mitane wala ab to suraj se andhera nahin jaane wala har kisi ko na dikha apne ghamon ke zewar kanch ki aankh mein aansu nahin aane wala mere ahbab mere haal pe rote hain magar kash hota koi girte ko uthane wala tere chehre pe jo raunaq hai mere ishq se hai sirf ghaza se nahin nur ye aane wala rahnumaon ki har ek baat baja, par kya hai apne mazi se koi aankh milane wala in ujalon ke talabgar to sab hain lekin hai koi khun charaghon ko pilane wala teri taswir kabhi tera badal ho na saki ek kaghaz mein nahin husn samane wala apne daman mein duaon ke khazane bhar lo phir ye darwesh nahin laut ke aane wala