raqs-kunan hain us ki yaaden kuchh yun mere man aangan jaise kisi raqqasa ke pairon mein ghunghru ki chhan-chhan jis dam us banjara ladki ne basti mein paon dhara basti mein ek shor utha sab chikh rahe the uf joban bazaron mein sone ke sab dam gire phir aundhe munh us ne jab ek sham utare apne hathon ke kangan kewal ek makhsus si dastak ki khatir ek muddat se darwaze par aankh tika kar rah nihaare ek birhan kitne matke khali rah gae kitni aankhen bhar aain jab se tanha chhod gae hain apne gokul ko mohan