ruh jaise kisi badan ki tarah

ruh jaise kisi badan ki tarah
aur badan us pe pairahan ki tarah

us ki aankhon ki yaad aati hai
mujh ko chhute hue watan ki tarah

hum hain mahrum rang-o-khushbu se
yani tanha ujad-ban ki tarah

hum ne duniya tamam dekhi hai
kuchh nahin us ke bhole-pan ki tarah

zindagi har qadam ghana jangal
hum hain bhatke hue hiran ki tarah

hum hain us thor zindagi mein jahan
har dukhan hai hamein sukhan ki tarah


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close