raqs mein aaj kahin shoala-e-inkar hai kya yun nahin hai to dhuan sa pas-e-diwar hai kya wardaten jo guzarti hain thithak jati hain tere atraf koi rasta bedar hai kya lag gai aag tere aane se gulzaron mein ab bata haal tera abr-e-khush-asar hai kya us ke khamosh takallum ko jo dekha to khula guftugu kahte hain kis chiz ko izhaar hai kya kyon tera chehra nazar aata hai tukde tukde ab shikasta tera aaina-e-kirdar hai kya ku-ba-ku puchhta phirta hun main sab se ye sawal did kahte hain kise daulat-e-didar hai kya us ke kuche se ujalon ka safar jari hai khema-zan qafila-e-sabit-o-sayyar hai kya raat hoti hai to badh jata hai shor-e-girya aaj-kal mera padosi koi bimar hai kya meri thokar mein pade rahte hain aflak tamam shauq-e-izhaar nahin warna ye kohsar hai kya qimat-e-husn to mauquf hain maddahon par na kharidar ho maujud to bazar hai kya bahr-e-mawwaj mein tinke pe bharosa na karo sar pe suraj ho to phir saya-e-diwar hai kya itna raushan to nahin mehr-e-falak bhi 'yawar' ufuq-e-fikr pe aakhir ye numudar hai kya