raqsan hai munder par kabutar diwar si gir rahi hai dil par tahni pe khamosh ek parinda mazi ke ulat raha hai daftar udte hain hawa ki samt zarre yaadon ke chale hain law-lashkar pedon ke ghane muhib sae ye kaun hai mujh pe hamla-awar patton mein jhapak rahi hain aankhen shakhon mein chamak rahe hain khanjar ye kaun qarib aa raha hai khud mere hi naqsh-e-pa pe chal kar ye kaun sama raha hai mujh mein baitha hua chup meri barabar ye kis ka tanaffus-e-pur-asrar ye kis ka tabassum fusun-gar ek karb sa ruh par hai tari ek kaif sa chha raha hai dil par