panw mein dur ka safar chamke raat basti mein jab khandar chamke gar dua hai to phir asar chamke shakh par ek to samar chamke ek aaseb hai har ek ghar mein ek hi chehra dar-ba-dar chamke zulmaton ki zamin par dekhen kis tarah nur ka nagar chamke in chamakte hue andheron mein ek to harf-e-mo'tabar chamke raushni ho to ruh tak larze aur andhere mein ek dar chamke sahilon ki shafiq aankhon mein dhup kapde utar kar chamke