ras aaya hai mujhe wahshat mein mar jaana mera wo mujhe roe ye kah kar hae diwana mera ghair ko saqi ne jab bhar kar diya jam-e-sharab aansuon se ho gaya labrez paimana mera mere rone par wo un ka muskurana bar bar aur balaen le ke wo qadmon pe gir jaana mera hazrat-e-naseh ki baaten main samajhta hi nahin na samajh hain dil-lagi samjhe hain samjhana mera ai 'rasa' wo bhi sharik-e-mahfil-e-matam hue khizar bhi marte hain jis par wo hai mar jaana mera