ab to ye safar apna aasman se aage hai marhala haqiqat ka ab guman se aage hai jis sakun ki chahat hai wo yahan nahin mumkin kyunki apni manzil hi is jahan se aage hai guftugu hamari ab kya koi samajh pae fikr hi hamari jab har bayan se aage hai itna mohtaram koi aur hai zamane mein is jahan mein rishta koi man se aage hai dhundhti hun main jis ko wo mujhe mile kaise khatm hai jahan rasta wo wahan se aage hai