'rasa' ko dil mein rakhte hain 'rasa' ke jaanne wale wafa ki qadar karte hain wafa ke jaanne wale teri tegh-e-ada khinchte hi apni jaan jati hai qaza se pahle marte hain qaza ke jaanne wale bhari hain shokhiyan lakhon teri nichi nigahon mein hamin hain kuchh teri sharm-o-haya ke jaanne wale meri fariyaad sun kar kuchh unhen parwa nahin hoti nidar baithe hain aah-e-na-rasa ke jaanne wale 'rasa' ko sab ne samjhaya magar samjha na kuchh zalim hue majbur us mard-e-khuda ke jaanne wale