ye lagta hai ab bhi kahin kuchh bacha hai tumhaara diya zakhm ab tak hara hai kaho kaun si shakl dekhoge ab tum ye chehra to ek aawran se dhaka hai laga hai zamana ibaadat mein jis ki wo rahta kahan hai tumhein kuchh pata hai gunahon se tauba karo waqt rahte wagarna to dozakh ka rasta khula hai mohabbat mohabbat mohabbat mohabbat aman yar chhodo ye halka nasha hai bhalai karo to mile hai burai ye qissa meri zindagi se juda hai ghalat-fahmiyan 'mit' rakkho na dil mein wahi sach nahin jitna tum ne suna hai