rashk-e-firdaus hai us ghuncha-dahan ki khushbu meri har sans mein hai us ke badan ki khushbu haal kahte hue us ka mere lab jalte hain hai khayalon mein mere shoala-badan ki khushbu wo pari-wash nazar aa jae to aati hai mujhe shokhi-e-dagh ki hasrat ke sukhan ki khushbu mere ashaar se raushan hai classic ka charagh hai taghazzul mein mere mir ke fan ki khushbu tajraba hai ye gharib-ul-watani ka yaro barha tut ke aati hai watan ki khushbu dushman-e-fasl-e-bahaaran hai wo takhribi hai jis mein aati na ho tamir-e-watan ki khushbu 'ghaalib'-o-'mir' 'wali' 'hasrat'-o-'momin' ki tarah sab ke sheron mein hai us husn-e-kuhan ki khushbu hain tere phul se alfaz ki ghazlen 'asi' bazm mein dur se aati hai sukhan ki khushbu