rasm aison se badhana hi na tha khidmat-e-naseh mein jaana hi na tha badh gae kuchh aur un ke hausle rone walon ko hansana hi na tha dil ka bhi rakhna tha hum ko kuchh khayal is tarah aansu bahana hi na tha kal zamana khud mita deta jinhen aise naqshon ko mitana hi na tha be-piye waiz ko meri rae mein masjid-e-jama mein jaana hi na tha rah gaya aankhon mein naqsha aap ka naza mein surat dikhana hi na tha khud wo de dete to achchha tha 'aziz' kya kahen yun zahr khana hi na tha