saf baatin der se hain muntazir saqiya khuz ma-safa da ma-kadar phir hayat-e-chand-roza ka maal maut par jab zindagi hai munhasir rut badalte hi faza mein gunj utha naghma-e-ya-ayyohas-saqi adir aise wadi mein nahin kya rahnuma khud jahan gum-karda manzil hun khizar mashwara rahmat se kar ai adl-e-haq kya saza jo ho khata ka khud muqir kyun hai asrar-e-do-alam ki talash parda-e-dil mein hain tere musattir kyun meri diwangi badnam hai un ki aankhen khud huin jab mushtahar al-hazar pir-e-falak ki sar-kashi dekhne mein tu hai utna munkasir kho chuka aankhen magar ai barq-e-husn dil rahega aur rahega muntazir sun le faryaad-e-'aziz' jaan-ba-lab rabb-e-inni mustaghiso fal-faqra