rasm-e-duniya jaan kar hargiz na yarana karo

rasm-e-duniya jaan kar hargiz na yarana karo
dosti ke bab mein dil ka kaha mana karo

ek dhima sa tabassum rasm hi si ban gaya
dosto apne parae ko to pahchana karo

raushni ka qaht hai par fikr-e-farda kis liye
khun ki tanwir se raushan siyah-khana karo

chhoti-moti baat ho to jins-e-gham dete raho
jurm ho sangin to khushiyon ka jurmana karo

rasm-e-shabbiri dawam-e-zist hai sultan-'rashk'
zist karni hai agar to sarfaroshana karo


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close