rassi to jal gai magar ainThan nahin gai

rassi to jal gai magar ainthan nahin gai
chahat tumhaari yun dam-e-kushtan nahin gai

tum chahte nahin the hamein phir ye kyon hua
ab bhi tumhaari aankhon ki uljhan nahin gai

karwat badal ke kati thi har shab tere baghair
aadat wo ab bhi chhod ke madfan nahin gai

sari khudai waise lagi to rahi magar
is dil se teri yaad bhi dushman nahin gai

ek but ke 'ishq mein tu kare hai khuda-khuda
ai 'shams' teri zat-e-barahman nahin gai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close