suraj us ke ghar ki koi khidki hai subh khule to sham ko band ho jati hai nasl-e-adam jis ke pichhe hai pagal duniya jannat se bhagi ek ladki hai 'ishq bhi farz hai tere insan hone ka shadi bhi samajik zimmedari hai nila dupatta yaad hai kya tum ko us ka aasman ke sine par jo bhaari hai dil se aankhon tak ek naddi hai jis mein har dam ulti ganga bahti rahti hai duniya hai ehsas ka ek bekal dariya 'ishq to par utarne ki tayyari hai aag lagi hai dil mein phir bhi gham hai makin jaise titli angare par baithi hai kante to chubhte hain kewal panw mein phulon ki dil ke chhaalon se yari hai ram nahin hun main na to wo hi hai sita pagal ladki sari baat samajhti hai 'shams' hawa mein rahne se to lakh guna behtar hai wo shakhs ki jis par mitti hai