rasta bhaTak na jaen tere naqsh-e-pa se hum

rasta bhatak na jaen tere naqsh-e-pa se hum
hum se juda khuda ho juda hon khuda se hum

dast-e-dua buland hain su-e-falak magar
waqif nahin hain aaj bhi harf-e-dua se hum

hum hain mariz-e-ishq hamein yar chahiye
achchhe na ho sakenge tabibo dawa se hum

jhuk kar salam karte hain parda-nashin ko
karte nahin kalam kisi be-rida se hum

sah-roz bhuk-pyas mein sabit qadam rahe
ho kar shahid haare na jaur-o-jafa se hum

gundha gaya turab ko aatish ke chaak par
aae haqiqi shakl mein aab-o-hawa se hum

chaaron taraf se ghere hue hai yazidiyat
tanha khade hain ran mein faqat karbala se hum

nazren mila na paegi hum se koi khushi
itna qarib ho gae aah-o-buka se hum

saqi se puchiyega hamari haqiqaten
dikhte hain sirf hain nahin sufi-numa se hum

bachpan se padh rahe hain 'anis'-o-'dabir' ko
'mehwar' sukhan-shanas rahe ibtida se hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close