tumhaari ulfat ka qatra qatra nikalna hai so chashm-e-tar se lahu ka dariya nikalna hai abhi to main ne tujhe nikala hai apne dil se abhi to aankhon se tera chehra nikalna hai padi hai pichhe kai dinon se hasin ladki hasin ladki bala hai sadqa nikalna hai ab apne dil mein mujhe basana hai karbala ko ab apne dil se dayar-e-kufa nikalna hai gharib ladki se ishq karna hai mujh ko 'mahwar' aur apne andar se shahzada nikalna hai