rasta bhi teri samt tha ghar teri taraf tha

rasta bhi teri samt tha ghar teri taraf tha
ab ja ke khula mera safar teri taraf tha

aangan tha mera aur na dar-o-baam the mere
main dhup mein tha saya-e-dar teri taraf tha

mahfil tujhe bas chhod ke jaane ke liye thi
ek main hi faqat khak-basar teri taraf tha

ujlat mein na kar tark-e-talluq ki shikayat
dil teri taraf yaad to kar teri taraf tha

aaine mein aur aab-e-rawan mein tha tera aks
shayad ki mera dida-e-tar teri taraf tha

tu mausam-e-gul mein bhi gurezan raha mujh se
main shakh-e-burida tha magar teri taraf tha

main tere hawale se raha shahr mein matub
jo mera hunar tha wo hunar teri taraf tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close