sar-nigun dil ki tarah dast-e-dua ho bhi chuke

sar-nigun dil ki tarah dast-e-dua ho bhi chuke
silsile jin ke juda the wo juda ho bhi chuke

dasht mein aaya nahin naqa-e-mahmil-bar-dosh
naqsh kuchh surat-e-naqsh-e-kaf-e-pa ho bhi chuke

nakhl-e-ummid raha phir bhi numu se mahrum
jab ki mausam kai aaghosh-kusha ho bhi chuke

ek be-nam si hasrat hai badan mein baqi
jis qadar qarz the shab ke wo ada ho bhi chuke

khwahish-e-uqda-kushai pe nadamat kaisi
rasm-e-nakhun se khafa band-e-qaba ho bhi chuke

ab to bas ek tasalsul hai talluq ka daraaz
imtihan ho bhi chuka wade wafa ho bhi chuke

kab tak ai baad-e-saba tujh se tawaqqoa rakkhun
dil tamanna ka shajar hai to hara ho bhi chuke

main to ek gunj mein zinda hun sar-e-bazm 'razi'
jin ko hona tha yahan naghma-sara ho bhi chuke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close