rasta bhul gaya ek sitara apna chand ne band kiya jab se daricha apna roz aaina dikhati hai zamane bhar ko zindagi dekh le tu bhi kabhi chehra apna aks tera kabhi ojhal ho agar manzar se aaina dhundhta rah jae ujala apna sochta hun teri taswir dikha dun us ko raushni ne kabhi saya nahin dekha apna ye sulagta hua sahra hai nishani us ki rasta bhul gaya tha koi dariya apna