rasta der tak sochta rah gaya jaane wale ka kyun naqsh-e-pa rah gaya aaj phir dab gain dard ki siskiyan aaj phir gunjta qahqaha rah gaya ab hawa se shajar kar raha hai gila ek gul shakh par kyun bacha rah gaya jhut kahne laga sach se bachne laga hausle mit gae tajraba rah gaya hanste gate hue lafz sab mit gae aansuon se likha hashiya rah gaya waqt ki dhaar mein bah gaya sab magar nam diwar par ek likha rah gaya us ke dam se kahe sher main ne 'hilal' phul is dhup mein jo khila rah gaya