rasta hoga jab tak na hamwar sa har safar hoga phir us pe dushwar sa ye khulus-o-mohabbat ki zanjir thi jis ne kar dala us ko giraftar sa us ka chehra lakiron mein bat sa gaya apni khatir bana hai wo aazar sa is zaban se use kuchh na kahna magar lafz tahrir mein rakhna talwar sa kya 'robina' tere hath thakte nahin likhte likhte kahani ka kirdar sa