ek ek jharoka khanda-ba-lab ek ek gali kohram hum lab se laga kar jam hue badnam bade badnam rut badli ki sadiyan laut aain uf yaad kisi ki yaad phir sail-e-zaman mein tair gaya ek nam kisi ka nam dil hai ki ek ajnabi-e-hairan tum ho ki paraya des nazron ki kahani ban na sakin honton pe ruke paigham raunden to ye kaliyan nish-e-bala chumen to ye shoale phul ye gham ye kisi ki den bhi hai inam ajab inam ai tirgiyon ki ghumti rau koi to rasili subh ai raushniyon ki dolti lau ek sham nashili sham rah rah ke jiyale rahiyon ko deta hai ye kaun aawaz kaunain ki hansti munderon par tum ho ki gham-e-ayyam be-barg shajar gardun ki taraf phailaen humakte hat phulon se bhari dhalwan pe sukhe pat karen bisram hum fikr mein hain is aalam ka dastur hai kya dastur ye kis ko khabar is fikr ka hai dastur-e-do-alam nam