rasta sochte rahne se kidhar banta hai sar mein sauda ho to diwar mein dar banta hai aag hi aag ho sine mein to kya phul jhaden shola hoti hai zaban lafz sharar banta hai zindagi soch azabon mein guzari hai miyan ek din mein kahan andaz-e-nazar banta hai muddai takht ke aate hain chale jate hain shahr ka taj koi khak-basar banta hai ishq ki rah ke meyar alag hote hain ek juda zaicha-e-nafa-o-zarar banta hai apna izhaar asir-e-rawish-e-am nahin jaise kah den wahi meyar-e-hunar banta hai
Please share if you liked this!!!