rasta koi safar koi masafat koi phir kharabi ki ata ho mujhe surat koi sare dariya hain yahan mauj mein apni apni mere sahra ko nahin in se shikayat koi jam gai dhul mulaqat ke aainon par mujh ko us ki na use meri zarurat koi main ne duniya ko sada dil ke barabar samjha kaam aai na buzurgon ki nasihat koi surmai sham ke hamrah parindon ki qatar dekhne walon ki aankhon ko bashaarat koi bujhti aankhon ko kisi nur ke dariya ki talash tutti sans ko zanjir zarurat koi tu ne har nakhl mein kuchh zauq-e-numu rakkha hai ai khuda mere panapne ki alamat koi