raste jo bhi chamak-dar nazar aate hain sab teri odhni ke tar nazar aate hain koi pagal hi mohabbat se nawazega mujhe aap to khair samajhdar nazar aate hain main kahan jaun karun kis se shikayat us ki har taraf us ke taraf-dar nazar aate hain zakhm bharne lage hain pichhli mulaqaton ke phir mulaqat ke aasar nazar aate hain ek hi bar nazar padti hai un par 'tabish' aur phir wo hi lagatar nazar aate hain