tumhaare gham se tauba kar raha hun tajjub hai main aisa kar raha hun hai apne hath mein apna gireban na jaane kis se jhagda kar raha hun bahut se band tale khul rahe hain tere sab khat ikattha kar raha hun koi titli nishane par nahin hai main bas rangon ka pichha kar raha hun main rasman kah raha hun phir milenge ye mat samho ki wada kar raha hun mere ahbab sare shahr mein hain main apne ganw mein kya kar raha hun meri har ek ghazal asli hai sahab kai barson se dhanda kar raha hun