raste mein sham ho gai ghar jaun kya karun ek qarz hai safar mein ye bhar jaun kya karun kachcha mera makan tha barish mein bah gaya sail-e-rawan mein khud bhi utar jaun kya karun wapas wahin pe rasta mujhe le ke aa gaya main aage chal padun ki thahar jaun kya karun dar to khule hue hain na mehman na mezban ghabra ke sochti hun kidhar jaun kya karun qatil tujhe bacha gaya munsif ka faisla fariyaad kis se ho main kidhar jaun kya karun taskin us ki jaan ko milegi usi tarah raste pe khak ban ke bikhar jaun kya karun duniya bula rahi hai mujhe din hai ek taraf jaun main is taraf ki idhar jaun kya karun us ki raza pe khush hun rakhe jis bhi haal mein us ki raza pe kuchh bhi main kar jaun kya karun