rawayye mar dete hain ye lahje mar dete hain wahi jo jaan se pyare hain rishte mar dete hain kabhi barson guzarne par kahin bhi kuchh nahin hota kabhi aisa bhi hota hai ki lamhe mar dete hain kabhi manzil pe jaane ke nishan tak bhi nahin milte jo raston mein bhatak jaen to raste mar dete hain kahani khatm hoti hai kabhi anjam se pahle adhure na-mukammal se ye qisse mar dete hain hazaron war duniya ke sahe jate hain hans hans ke magar apnon ke tane aur shikwe mar dete hain mujhe aksar ye lagta hai ki jaise hun nahin hun main mujhe hone na hone ke ye khadshe mar dete hain kabhi marne se pahle bhi bashar ko marna padta hai yahan jine ke milte hain jo sadme mar dete hain bahut ehsan jatane se talluq tut jata hai bahut isar-o-qurbani ke jazbe mar dete hain kabhi tufan ki zad se bhi safine bach nikalte hain kabhi salim safinon ko kinare mar dete hain wo hissa kat dala zahr ka khadsha raha jis mein jo baqi rah gae mujh mein wo hisse mar dete hain jo aankhon mein rahen 'nuzhat' wahi to khwab achchhe hain jinhen tabir mil jae wo sapne mar dete hain