raston pe na baitho ki hawa tang karegi bichhde hue logon ki sada tang karegi aasab pe pahre na bitha subh-e-safar hai tutega badan aur qaba tang karegi mat tut ke chaho use aaghaz-e-safar mein bichhdega to ek ek ada tang karegi itna bhi use yaad na kar sham-e-ghariban mahkegi faza bu-e-hina tang karegi khwabon ke jazire se nikalna hi padega jis samt gae bu-e-qaba tang karegi pur-habs shabon mein abhi ninden nahin utrin nind aai to phir baad-e-saba tang karegi khud-sar hai agar wo to marasim na badhao khuddar agar ho to ana tang karegi