hum jo pahle kahin mile hote aur hi apne silsile hote phir har ek baat thik se hoti phir na uljhan na fasle hote phir na tanhai raat ko dasti phir na qismat se ye gile hote phir na lagta ye shahr ek sahra phir na gum dil ke qafile hote phir ghazal hoti sab zabanon par phir kisi ke na lab sile hote phir har ek lamha gunguna uthta phir har ek samt gul khile hote