raunaq baDhegi ru-e-nashat-e-jamal ki

raunaq badhegi ru-e-nashat-e-jamal ki
thodi si gard dal do is par malal ki

deti rahi fareb unhen bhi teri wafa
aaghaz mein bhi jin ko khabar thi maal ki

ab is maqam par hai meri zindagi jahan
kaifiyyat ek si hai nashat o malal ki

allah-re jazb-e-did ki ahl-e-nigah se
khud husn bhik mang raha hai jamal ki

dil phir bhi aa gaya gham-e-dauran ke pher mein
har-chand maslahat ne badi dekh-bhaal ki

phulon ki dilkashi ho ki taron ki raushni
parchhaiyan hain sab mere husn-e-khayal ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close