raunaq-e-baam-o-dar nahin baqi kaise kah dun ki ghar nahin baqi us ko dekha hai us ki nazron se jaise apni nazar nahin baqi rahnumaon ne is qadar luta ab luteron ka dar nahin baqi har musafir se raston ne kaha zulmaton mein sahar nahin baqi dil to mahrum-e-sidq lagta hai aur dua mein asar nahin baqi main ne akhbar padh liya 'ashiq' koi taza khabar nahin baqi