kabhi khud ko kabhi khwabon ko sada dete hain kaisi diwar uthate hain gira dete hain aao do chaar qadam chal ke bhi dekhen yaro ham-safar apne kahan hum ko dagha dete hain jaane kya soch ke ai dost ye arbab-e-chaman zahr-pashi se wo paudon ko jala dete hain ye guzargah ke patthar teri thokar mein sahi har qadam par tujhe manzil ka pata dete hain ye wo duniya hai jahan jhut chhupane ke liye log sachchai ko suli pe chadha dete hain jab bhi aate hain use chhu ke hawa ke jhonke dil ke soe hue jazbaat jaga dete hain dur-o-nazdik ye sannaton ke gahre sae aane wale kisi tufan ka pata dete hain