raunaq farogh-e-dard se kuchh anjuman mein hai khun-e-jigar gharib ka har bankpan mein hai diwana zindagani ka deta hai yun subut bahar lahad se hai kabhi khunin kafan mein hai dil ke lahu se ruh ki hoti hai parwarish mearaj aagahi ki wafur-e-mehan mein hai har bund nok-e-kilk ki deti hai dars-e-hosh kaunain ka suragh bhi batn-e-sukhan mein hai do yak nafas hai khema-e-gul ka fareb-rang ibrat-farosh khar bhi sehn-e-chaman mein hai aafaq-saz mazhab-e-isar phir se dhund ek lal-e-shab-charagh bhi taq-e-kuhan mein hai yaro sukhan bara-e-sukhan mutlaqan abas paigham-e-hast-o-bud kahin fikr-o-fan mein hai ikhlas dil ka rahmat-e-bari se kar talab raushan charagh-e-adl kahan anjuman mein hai bu-zar ka faqr hazrat-e-faruq ka mizaj asnam-saz qaum ke shekh-e-zaman mein hai sauda-gari se mana ki hasil hai kuchh waqar saman-e-mufsidat bhi tazin-e-tan mein hai asr-e-rawan ke log hain aawargi-pasand fitna bhi hirs-o-az ka khizr-e-zaman mein hai shabnam se pankhudi bhi sulagti hai phul ki nairangi-e-khizan bhi bahaar-e-chaman mein hai faizan-e-irtiqa se janaza khulus ka khair-ul-umam ke dosh pe shahr-e-zaman mein hai jamhuriyat bhi turfa-tamasha ka kis qadar lauh-o-qalam ki jaan yad-e-aharman mein hai is iftira pe dijiye kuchh muftari ko dad jannat agar kahin hai to mere watan mein hai jaane kise nasib ho 'bebak' aagahi naqid jadid daur ka takhmin-o-zan mein hai