kahenge kis se hain KHud apni tegh ke ghayal

kahenge kis se hain khud apni tegh ke ghayal
na ikhtiyar pe qabu na jabr ke qail

main khud hun apni tamanna-farebiyon ka shikar
jo dil pe guzre guzar jae par na tu ho khajil

hayat waqfa-e-rahat hai rah-rau ke liye
adam se ta-ba-adam hai safar ki ek manzil

nawed-e-alam-e-nau de raha hai sail-e-iram
chhupe hue hain samundar ki tah mein bhi sahil

na badh saka had-e-idrak se shuur-e-talab
gunahgar hun main apne hauslon se khajil

hai bar-e-dosh hamare liye bhi sar apna
tumhaare shahr mein phirte hain ab khule qatil

mujhe to sadma-e-furqat se itna hosh na tha
tumhein khabar hai ye kis ka dhadak raha tha dil

abhi se garmi-e-aghosh-e-mauj-e-bahr kahan
bahut hai dur abhi to murad ka sahil

wo chat lete hain kaliyon se qatra-e-shabnam
jinhen samajhte hain duniya mein log dariya-dil

hamin ne dard ko sare jahan ke apnaya
hamin ko log samajhte hain mujrim-o-qatil

muahida bhala sayyaad-o-said mein kaisa
ye ittifaq hai wo bhi hain aaj pa-dar-gil

qalandaran-e-tahi-dast kuchh nahin rakhte
zah-e-nasib agar ho qubul hadiya-e-dil

wo 'qadri' ko samajhte hain jaan-nisaron mein
karam hai un ka faqat hum nahin kisi qabil


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close