raushan dil-e-arif se fuzun hai badan un ka rangin hai tabiat ki tarah pairahan un ka mahrum hi rah jati hai aaghosh-e-tamanna sharm aa ke chura leti hai sara badan un ka jin logon ne dil mein tere ghar apna kiya hai bahar hai do-alam se meri jaan watan un ka har baat mein wo chaal kiya karte hain mujh se ulfat na nibhegi jo yahi hai chalan un ka aariz se gharaz hum ko anadil ko hai gul se hai kucha-e-mashuq hamara chaman un ka hai saf nigahon se ayan josh-e-jawani aankhon se sambhalta nahin mastana-pan un ka ye sharm ke mani hain haya kahte hain is ko aaghosh-e-tasawwur mein na aaya badan un ka ghairon hi pe chalta hai jo ab naz ka khanjar kyun beach mein laya tha mujhe bankpan un ka ghairon ne kabhi pak nazar se nahin dekha wo us ko na samjhen to ye hai husn-e-zan un ka is zulf-o-rukh-o-lab pe unhen kyun na ho nakhwat tatar hai un ka halab un ka yaman un ka allah re fareb-e-nazar-e-chashm-e-fusun-saz banda hai har ek shaikh har ek barahman un ka aaya jo nazar husn-e-khuda-dad ka jalwa but ban gaya munh dekh ke har barahman un ka marqad mein utara hamein tewri ko chadha kar hum mar bhi gae par na chhuta bankpan un ka guzri hui baaten na mujhe yaad dilao ab zikr hi jaane do tum ai jaan-e-man un ka dilchasp hi aafat hai qayamat hai ghazab hai baat un ki ada un ki qad un ka chalan un ka